Ek Din Rusool-e-Pak (S.A.W.) Ne Ashab (R.A.) Se KahaDain Maal Rah-e-Haq Mein Jo Hon Tum Mein Maal-Dar
Irshad Sun Ke Fart-e-Tarb Se Umer ( R.A.) UtheUss Roz Un Ke Pas The Darham Kai Hazar
Dil Mein Ye Keh Rahe The Ke Siddique (R.A.) Se ZuroorBarh Kar Rakhe Ga Aaj Qadam Mera Rahwar
Laye Ghazke Maal Rusool-e-Ameen (S.A.W.) Ke PaasAesar Ki Hai Dast Nigar Ibtadaye Kaar
Pucha Huzoor Sarwar-e-Alam (S.A.W.) Ne, Ae Umer !Ae Woh Ke Josh-e-Haq Se Tere Dil Ko Hai Qarar
Rakha Hai Kuch Ayaal Ki Khatir Bhi Tu Ne Kya?Muslim Hai Apne Khowesh-o-Aqarab Ka Haq-Guzar
Ki Arz Nisf Maal Hai Farzand-o-Zan Ka HaqBaqi Jo Hai Woh Millat-e-Baiza Pe Hai Nisar
Itne Mein Woh Rafeeq-e-Nabuwwat Bhi Aa GyaJis Se Binaye Ishq-o-Mohabbat Hai Ustawar
Le Aya Apne Sath Woh Mard-e-Wafa SarishtHar Cheez, Jis Se Chashm-e-Jahan Mein Ho Aetibar
Milk-e-Yameen-o-Dirham-o-Dinar-o-Rakht-o-JinseIsp-e-Qamarsam-o-Shutar-o-Qatir-o-Himaar
Bole Huzoor (S.A.W.) , Chahiye Fikr-e-Ayaal BhiKehne Laga Woh Ishq-o-Mohabbat Ka Raaz-Dar
Ae Tujh Se Didah-e-Mah-o-Anjum Farogh-Geer!Ae Teri Zaat Baees-e-Takween-e-Rozgar!
Parwane Ko Charagh Hai, Bulbul Ko Phool BasSiddique Ke Liye Hai Khuda Ka Rusool (S.A.W.) Bas