والدہ مرحومہ کي ياد ميں
Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 30 sher · Roman Urdu ke saath
Zarra Zarra Dehr Ka Zindaani-e-Taqdeer HaiParda-e-Majboor-o-Bechargi Tadbeer Hai
Asaman Majboor Hai, Shamas-o-Qamar Majboor HainAnjum-e-Seemab Pa Raftar Par Majboor Hai
Hai Shikast Anjam Ghunche Ka Saboo Gulzar MeinSabza-o-Gul Bhi Hain Majboor-e-Namoo Gulzar Mein
Nagma-e-Bulbul Ho Ya Awaz-e-Khamosh-e-ZameerHai Issi Zanjeer-e-Alamgeer Mein Har She Aseer
Ankh Par Hota Hai Jab Ye Sirr-e-Majboori AyanKhush Ho Jata Hai Dil Mein Ashak Ka Seel-e-Rawan
Qalb-e-Insani Mein Raqs-e-Aysh-o-Gham Rehta NahinNaghma Reh Jata Hai, Lutf-e-Zair-o-Bam Rehta Nahin
Ilm-o-Hikmat Rahzan-e-Saman-e-Ashak-o-Aah HaiYani Ek Almas Ka Tukra Dil Agah Hai
Garche Mere Bagh Mein Shabnam Ki Shadabi NahinAnkh Meri Mayadaar-e-Ashak-e-Unnabi Nahin
Janta Hun Aah, Main Aalaam Insane Ka RaazHai Nawaye Shikwah Se Khali Meri Fitrat Ka Saaz
Mere Lab Par Qissa-e-Nairangi-e-Douran NahinDil Mera Heeran Nahin, Khandan Nahin, Giryan Nahin
Par Teri Tasveer Qasid Girya-e-Peham Ki HaiAah! Ye Tardeed Meri Hikmat-e-Muhkam Ki Hai
Girya-e-Sarshaar Se Bunyad-e-Jaan Paeenda HaiDard Ke Irfan Se Aqal-e-Sangdil Sharminda Hai
Mouj-e-Dood-e-Aah Se Aaeena Hai Roshan MeraGunj-e-Aab Award Se Maamoor Hai Daman Mera
Hairati Hun Mein Teri Tasveer Ke Ijaz KaRukh Badal Dala Hai Jis Ne Waqt Ki Parwaz Ka
Rafta-o-Hazir Ko Goya Pa Bapa Iss Ne KiyaEhd-e-Tifli Se Mujhe Phir Ashna Iss Ne Kiya
Jab Tere Daman Mein Palti Thi Woh Jaan-e-NatwanBaat Se Achi Tarah Mehram Na Thi Jis Ki Zuban
Aur Ab Charche Hain Jis Ki Shoukhi-e-Guftar KeBe-Baha Moti Hain Jis Ki Chashm-e-Gohar Baar Ke
Ilm Ki Sanjeeda Guftari, Barhape Ka ShaurDunyavi Izaz Ki Shoukat, Jawani Ka Gharoor
Zindagi Ki Auj-Gahon Se Uter Ate Hain HumSohbat-e-Madir Mein Tifl-e-Sada Reh Jate Hain Hum
Be Takaluf Khandazan Hain, Fikr Se Azad HainPhir Ussi Khoye Huwe Firdous Mein Abad Hain
Kis Ko Ab Ho Ga Watan Mein Aah! Mera IntizarKon Mera Khat Na Ane Se Rahe Ga Be-Qarar
Khak-e-Marqad Par Teri Le Kar Ye Faryad Aun GaAb Duaye Neem Shab Mein Kis Ko Main Yaad Aun Ga!
Tarbiat Se Teri Main Anjum Ka Hum-Qismat HuwaGhar Mere Ajdad Ka Sarmaya-e-Izzat Huwa
Daftar-e-Hasti Mein Thi Zareen Waraq Teri HayatThi Sarapa Deen-o-Dunya Ka Sabaq Teri Hayat
Umer Bhar Teri Mohabbat Meri Khidmat RahiMain Teri Khidmat Ke Qabil Jab Huwa Tu Chal Basi
Woh Jawan, Qamat Mein Hai Jo Soorat-e-Sarv-e-BulandTeri Khidmat Se Huwa Jo Mujh Se Barh Kar Behramand
Karobar-e-Zindagaani Mein Woh Hum Pehlu MeraWoh Mohabbat Mein Teri Tasveer, Woh Bazoo Mera
Tujh Ko Misl-e-Tiflak-e-Be Dast-o-Paa Rota Hai WohSabr Se Na Ashna Subah-o-Masa Rota Hai Woh
Tukhm Jis Ka Tu Humari Kisht-e-Jaan Mein Bo GyiShirkat-e-Gham Se Woh Ulfat Aur Mohkam Ho Gyi
Aah! Ye Dunya, Ye Matam Khana-e-Barna-o-PeerAdmi Hai Kis Tilism-e-Dosh-o-Farda Mein Aseer!