رمزِ زندگیRamz E Zindagi

والدہ مرحومہ کي ياد ميں

Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 30 sher · Roman Urdu ke saath

Zarra Zarra Dehr Ka Zindaani-e-Taqdeer HaiParda-e-Majboor-o-Bechargi Tadbeer Hai
Asaman Majboor Hai, Shamas-o-Qamar Majboor HainAnjum-e-Seemab Pa Raftar Par Majboor Hai
Hai Shikast Anjam Ghunche Ka Saboo Gulzar MeinSabza-o-Gul Bhi Hain Majboor-e-Namoo Gulzar Mein
Nagma-e-Bulbul Ho Ya Awaz-e-Khamosh-e-ZameerHai Issi Zanjeer-e-Alamgeer Mein Har She Aseer
Ankh Par Hota Hai Jab Ye Sirr-e-Majboori AyanKhush Ho Jata Hai Dil Mein Ashak Ka Seel-e-Rawan
Qalb-e-Insani Mein Raqs-e-Aysh-o-Gham Rehta NahinNaghma Reh Jata Hai, Lutf-e-Zair-o-Bam Rehta Nahin
Ilm-o-Hikmat Rahzan-e-Saman-e-Ashak-o-Aah HaiYani Ek Almas Ka Tukra Dil Agah Hai
Garche Mere Bagh Mein Shabnam Ki Shadabi NahinAnkh Meri Mayadaar-e-Ashak-e-Unnabi Nahin
Janta Hun Aah, Main Aalaam Insane Ka RaazHai Nawaye Shikwah Se Khali Meri Fitrat Ka Saaz
Mere Lab Par Qissa-e-Nairangi-e-Douran NahinDil Mera Heeran Nahin, Khandan Nahin, Giryan Nahin
Par Teri Tasveer Qasid Girya-e-Peham Ki HaiAah! Ye Tardeed Meri Hikmat-e-Muhkam Ki Hai
Girya-e-Sarshaar Se Bunyad-e-Jaan Paeenda HaiDard Ke Irfan Se Aqal-e-Sangdil Sharminda Hai
Mouj-e-Dood-e-Aah Se Aaeena Hai Roshan MeraGunj-e-Aab Award Se Maamoor Hai Daman Mera
Hairati Hun Mein Teri Tasveer Ke Ijaz KaRukh Badal Dala Hai Jis Ne Waqt Ki Parwaz Ka
Rafta-o-Hazir Ko Goya Pa Bapa Iss Ne KiyaEhd-e-Tifli Se Mujhe Phir Ashna Iss Ne Kiya
Jab Tere Daman Mein Palti Thi Woh Jaan-e-NatwanBaat Se Achi Tarah Mehram Na Thi Jis Ki Zuban
Aur Ab Charche Hain Jis Ki Shoukhi-e-Guftar KeBe-Baha Moti Hain Jis Ki Chashm-e-Gohar Baar Ke
Zindagi Ki Auj-Gahon Se Uter Ate Hain HumSohbat-e-Madir Mein Tifl-e-Sada Reh Jate Hain Hum
Be Takaluf  Khandazan Hain, Fikr Se Azad HainPhir Ussi Khoye Huwe Firdous Mein Abad Hain
Khak-e-Marqad Par Teri Le Kar Ye Faryad Aun GaAb Duaye Neem Shab Mein Kis Ko Main Yaad Aun Ga!
Tarbiat Se Teri Main Anjum Ka Hum-Qismat HuwaGhar Mere Ajdad Ka Sarmaya-e-Izzat Huwa
Daftar-e-Hasti Mein Thi Zareen Waraq Teri HayatThi Sarapa Deen-o-Dunya Ka Sabaq Teri Hayat
Umer Bhar Teri Mohabbat Meri Khidmat RahiMain Teri Khidmat Ke Qabil Jab Huwa Tu Chal Basi
Woh Jawan, Qamat Mein Hai Jo Soorat-e-Sarv-e-BulandTeri Khidmat Se Huwa Jo Mujh Se Barh Kar Behramand
Karobar-e-Zindagaani Mein Woh Hum Pehlu MeraWoh Mohabbat Mein Teri Tasveer, Woh Bazoo Mera
Tujh Ko  Misl-e-Tiflak-e-Be Dast-o-Paa Rota Hai WohSabr Se Na Ashna Subah-o-Masa Rota Hai Woh
Tukhm Jis Ka Tu Humari Kisht-e-Jaan Mein Bo GyiShirkat-e-Gham Se Woh Ulfat Aur Mohkam Ho Gyi
Aah! Ye Dunya, Ye Matam Khana-e-Barna-o-PeerAdmi Hai Kis Tilism-e-Dosh-o-Farda Mein Aseer!