ايک خط کے جواب ميں
Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 6 sher · Roman Urdu ke saath
Hawas Bhi Ho To Nahin Mujh Mein Himmat-e-Tag-o-TaazHusool-e-Jah Hai Wabasta-e-Mazaq-e-Talash
Hazar Shukar, Tabiat Hai Raiza Kaar MeriHazar Shukar, Nahin Hai Damagh-e-Fitna-e-Tarash
Mere Sukhan Se Dilon Hain Khaitian Sar SabzJahan Mein Hun Main Missal-e-Sihaab Darya Pash
Ye Uqdah Haye Siasat Tujhe Mubarik HonKe Faiz-e-Ishq Se Nakhan Mera Hai Seena Kharash
Hawaye Bazm-e-Salateen Daleel-e-Murda DiliKiya Hai Hafiz-e-Rangeen Nawa Ne Raaz Ye Fash
“Garat Hawast Ke Ba-Khizr Hum Nasheen BashiNihan Za Chashm-e-Sikandar Cho Aab-e-Heewan Bash”