کفر واسلام
Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 7 sher · Roman Urdu ke saath
Aik Din Iqbal Ne Pucha Kaleem-e-Toor SeAe Ke Tere Naqsh-e-Pa Se Wadi Seena-e-Chaman
Aatish-e-Namrood Hai Ab Tak Jahan Mein Shaola RaizHo Gya Ankhon Se Pinhan Kyun Tera Souz-e-Kuhan
Tha Jawab-e-Sahib-e-Seena Ke Muslim Hai AgarChor Kar Ghaeeb Ko Tu Hazir Ka Shedai Na Ban
Zauq-e-Hazir Hai Tou Phir Lazim Hai Iman-e-Khalil (A.S.)Warna Khakstar Hai Teri Zindagi Ka Pairhan
Hai Agar Diwana-e-Ghaeeb To Kuch Parwa Na KarMuntazir Reh Wadi-e-Faran Mein Ho Kar Khema Zan
Aarzi Hai Shan-e-Hazir, Sitwat-e-Ghaeeb MadaamIss Sadaqat Ko Mohabbat Se Hai Rabt-e-Jaan-o-Tan
Shaola-E-Namrood Hai Roshan Zamane Mein To Kya“Shama Khud Ra Mee Gudazd Darmian-e-Anjuman