Tujhe Kyun Fikar Hai Ae Gul Dil-e-Sad Chaak-e-Bulbul KiTu Apne Pairhan Ke Chaak To Pehle Rafoo Kar Le
Tamanna Abru Ki Ho Agar Gulzar-e-Hasti MeinTo Kanton Mein Ulajh Kar Zindagi Karne Ki Khu Kar Le
Sanobar Bagh Mein Azad Bhi Hai, Pa Ba Gill Bhi HaiInhi Pabandiyon Mein Hasil Azadi Ko Tu Kar Le
Tunak Bakhshi Ko Istaghna Se Pegham-e-Khajalat DeNa Reh Minnat Kash-e-Shabnam, Nigun Jaam-o-Saboo Kar Le
Nahin Ye Shan-e-Khud-Dari, Chaman Se Torh Kar Tujh KoKoi Dastaar Mein Rakh Le, Koi Zaib-e-Guloo Kar Le
Chaman Mein Ghuncha-e-Gul Se Ye Keh Kar Urh Gyi ShabnamMazaq-e-Jour-e-Gulcheen Ho To Paida Rang-o-Bu Kar Le
Agar Manzoor Ho Tujh Ko Khazan Na-Ashna RehnaJahan-e-Rang-o-Bu Se, Pehle Qataa-e-Arzu Kar Le
Iss Mein Dekh, Muzmir Hai Kamal-e-Zindagi TeraJo Tujh Ko Zeenat-e-Daman Koi Aaeena Ru Kar Le