Shafaq-e-Subah Ko Darya Ka Kharaam AaeenaNaghma-e-Shaam Ko Khamoshi-e-Shaam Aaeena
Barg-e-Gul Aaeena Ariz-e-Ziabaye BaharShahid-e-Mai Ke Liye Hujla-e-Jaam Aaeena
Husn Aaeena-e-Haq Aur Dil Aaeena-e-HusnDil-e-Insan Ko Tera Husn-e-Kalaam Aaeena
Hai Tere Fikr-e-Falak Ras Se Kamal-e-HastiKya Teri Fitrat-e-Roshan Thi Maal-e-Hasti
Tujh Ko Jab Dida-e-Deedar Talab Ne DhoondaTaab-e-Khursheed Mein Khursheed Ko Pinhan Dekha
Chashm-e-Alam Se To Hasti Rahi Mastoor TeriAur Alam Ko Teri Ankh Ne Uryan Dekha
Hifz-e-Asrar Ka Fitrat Ko Hai Souda AesaRaazdaan Phir Na Kare Gi Koi Paida Aesa