رمزِ زندگیRamz E Zindagi

ہمايوں

Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 5 sher · Roman Urdu ke saath

Ae Humayun! Zindagi Teri Sarapa Souz ThiTeri Chingari Charagh-e-Anjuman Afroz Thi
Garche Tha Tera Tan-e-Khaki Nazaar-o-Dard MandThi Sitare Ki Tarah Roshan Teri Taba-e-Buland
Kis Qadar Bebak Dil Iss Natawan Paikar Mein ThaShoala-e-Gardoon Naward Ek Musht-e-Khakstar Mein Tha
Mout Ki Lekin Dil-e-Dana Ko Kuch Parwa NahinShab Ki Khamoshi Mein Juz Hangama-e-Farda Nahin
Mout Ko Samjhe Hain Ghafil Ikhtitam-e-ZindagiHai Ye Sham-e-Zindagi Subah-e-Dawam-e-Zindagi