رمزِ زندگیRamz E Zindagi

ظر یفا نہ

Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 30 sher · Roman Urdu ke saath

Mashriq Mein Asool Deen Ban Jate HainMaghrib Mein Magar Machine Ban Jate Hain
Rehta Nahin Aik Bhi Humare PalleWaan Aik Ke Teen Teen Ban Jate Hain
Rawish-e-Maghrabi Hai Madd-e-NazarWazaa-e-Mashriq Ko Jante Hain Gunah
Shiekh Sahib Bhi To Parde Ke Koi Haami NahinMuft Mein Collge Ke Larke Un Se Badzan Ho Gye
Waaz Mein Farma Diya Kal Aap Ne Ye Saaf Saaf“Parda Akhir Kis Se Ho Jab Mard Hi Zan Ho Gye”
Ye Koi Din Ki Baat Hai Ae Mard-e-Hosh Mand!Ghairat Na Tujh Mein Ho Gi, Na Zan Owt Chahe Gi
Taleem-e-Maghrabi Hai Bohat Juraat AfreenPehla Sabaq Hai, Baith Ke College Mein Maar Deeng
Mera Ye Haal, Boot Ki Tou Chatta Hun MainUn Ka Ye Hukam, Dekh! Mere Farash Par Na Reeng
Kuch Gham Nahin Jo Hazrat-e-Waaiz Hain Tang DastTehzeeb-e-Nau Ke Samne Sar Apna Kham Karain
Rad-e-Jihad Mein To Bohat Kuch Likha GyaTardeed-e-Hajj Mein Koi Risala Raqam Karain
Tehzeeb Ke Mareez Ko Goli Se Faida!Dafa-e-Marz Ke Waaste ‘Pill’ Paish Kijiye
The Woh Bhi Din Ke Khidmat-e-Ustad Ke EwzDil Chahta Tha Hadiya-e-Dil Paish Kijiye
Badla Zamana Aesa Ke Larka Pas Az SabaqKehta Hai Master Se Ke “Bill Paish Kijiye!”
Intiha Bhi Iss Ki Hai? Akhir Khareedain Kab TalakChatriyan, Rumal, Maflar, Pairhan Japan Se
Apni Ghaflat Ki Yehi Halat Agar Qaeem RahiAyen Ge Ghussal Kabul Se, Kafan Japan Se
Hum Mashriq Ke Maskeenon Ka Dil Maghrib Mein Ja Atka HaiWaan Kantar Sub Ballori Hain Yaan Aik Purana Matka Hai
Ae Shiekh-o-Barhman, Sunte Ho! Kya Ahl-e-Basirat Kehte HainGardoon Ne Kitni Bulandi Se In Qoumon Ko De Tapka Hai
Ya Baham Pyar Ke Jalse The, Dastoor-e-Mohabbat Qaeem ThaYa Behas Mein Urdu Hindi Hai Ya Qurbani Ya Jhatka Hai
“Asal-e-Shuhood-o-Shahid-o-Mashood Aik Hai”Ghalib Ka Qoul Sach Hai To Phir Zikr-e-Ghair Kya
Hum Puchte Hain Muslim-e-Ashiq Mazaj SeUlfat Buton Se Hai To Barhman Se Bair Kya!
Hathon Se Apne Daman-e-Duya Nikal GyaRukhsat Huwa Dilon Se Khiyal-e-Ma’ad Bhi
Qunoon-e-Waqf Ke Liye Larte The Sheikh JiPucho To, Waqf Ke Liye Hai Jaidad Bhi!
Woh Miss Boli Irada Khudkushi Ka Jab Kiya Main NeMuhazzib Hai Tu Ae Ashiq! Qadam Bahir Na Dhar Had Se