تجھے یاد کیا نہیں ہے مرے دل کا وہ زمانہ
Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 7 sher · Roman Urdu ke saath
tujhe yaad kyā nahīñ hai mire dil kā vo zamānavo adab-gah-e-mohabbat vo nigah kā tāziyāna
ye butān-e-asr-e-hāzir ki bane haiñ madrase meñna adā-e-kāfirāna na tarāsh-e-āzrāna
nahīñ is khulī fazā meñ koī gosha-e-farāġhatye jahāñ ajab jahāñ hai na qafas na āshiyāna
rag-e-tāk muntazir hai tirī bārish-e-karam kīki ajam ke mai-kadoñ meñ na rahī mai-e-muġhāna
mire ham-safīr ise bhī asar-e-bahār samjheunheñ kyā ḳhabar ki kyā hai ye navā-e-āshiqāna
mire ḳhaak o ḳhuuñ se tū ne ye jahāñ kiyā hai paidāsila-e-shahid kyā hai tab-o-tāb-e-jāvedāna
tirī banda-parvarī se mire din guzar rahe haiñna gila hai dostoñ kā na shikāyat-e-zamāna