Fatwa Hai Sheikh Ka Ye Zamana Qalam Ka HaiDunya Mein Ab Rahi Nahin Talwar Kargar
Lekin Janab-e-Sheikh Ko Maloom Kya Nahin?Masjid Mein Ab Ye Waaz Hai Besood-o-Be-Asar
Taeg-o-Tufnag Dast-e-Musalman Mein Hai KahanHo Bhi, To Dil Hain Mout Ki Lazzat Se Be-Khabar
Kafir Kimout Se Bhi Larazta Ho Jis Ka DilKehta Hai Kon Usse Ke Musalman Ki Mout Mer
Taleem Uss Ko Chahye Tark-e-Jahad KiDunya Ko Jis Ke Panja-e-Khoonain Se Ho Khatar
Batil Ke Faal-o-Far Ki Hafazat Ke WasteYourap Zira Mein Doob Gya Dosh Ta Kamar
Hum Poochte Hain Sheikh-e-Kalisa Nawaz SeMashriq Mein Jang Shar Hai To Maghrib Mein Bhi Hai Shar
Haq Se Agar Gharz Hai To Zaiba Hai Kya Ye BaatIslam Ka Muhasiba, Yourap Se Darguzar!