اگر کج رو ہيں انجم ، آسماں تيرا ہے يا ميرا
Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 7 sher · Roman Urdu ke saath
Meri Nawa’ay Shauq Se Shor Hareem-e-Zaat MeinGhalghala Ha’ay Al-Aman But Kada’ay Sifaat Mein
Hoor-o-Farishta Hain Aseer Mere Takhiyulat MeinMeri Nigah Se Khalal Teri Tajaliat Mein
Garche Hai Meri Justujoo Dair-e-Haram Ki Naqsh BandMeri Faghan Se Rustkhaiz Kaaba-O-Somanat Mein
Gah Meri Nigah-e-Taiz Cheer Gyi Dil-e-WujoodGah Uljah Ke Reh Gyi Meri Touwahamaat Mein
Tu Ne Ye Kya Ghazab Kiya, Mujh Ko Bhi Fash Kar DiyaMain Hi Tou Aik Raaz Tha Sina’ay Kainat Mein !
Tere Shishe Mein May Baqi Nahin HaiBata, Kya Tu Mera Saqi Nahi Hai
Samundar Se Mille Piyase Ko ShabnamBakheeli Hai Ye Razzaqi Nahin Hai