رمزِ زندگیRamz E Zindagi

نگاہ شوق

Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 6 sher · Roman Urdu ke saath

Ye Kainat Chupati Nahin Zameer ApnaKe Zarre Zarre Mein Hai Zauq-e-Ashkarayi
Kuch Aur Hi Nazar Ata Hai Karobar-e-JahanNigah-e-Shauq Agar Ho Shareek-e-Beenai
Issi Nigah Se Mehkoom Qoum Ke FarzandHuwe Jahan Mein Sazawar-e-Kaar Farmayi
Issi Nigah Mein Hai Qahiri-o-JabariIssi Nigah Mein Hai Dilbari-o-Raanai
Issi Nigah Se Har Zarre Ko, Junoon MeraSikha Raha Hai Reh-o-Rasm-e-Dasht-e-Pemai
Nigah-e-Shauq Mayassr Nahin Agar Tujh KoTera Wujood Hai Qalb-o-Nazar Ki Ruswai