رمزِ زندگیRamz E Zindagi

اہل ہنر سے

Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 5 sher · Roman Urdu ke saath

Mehr-o-Mah-o-Mushtari, Chand Nafs Ka FaroghIshq Se Hai Paidar Teri Khudi Ka Wujood
Tere Haram Ka Zameer Aswad-o-Ahmar Se PaakTang Hai Tere Liye Surkh-o-Spaid-o-Kubood
Teri Khudi Ka Ghayaab Maarka-e-Zikr-o-FikrTeri Khudi Ka Huzoor Alam-e-Shair-o-Surood
Rooh Agar Hai Teri Ranj-e-Ghulami Se ZaarTere Hunar Ka Jahan Dair-o-Tawaf-o-Sujood
Aur Agar Bakhabar Apni Sharafat Se HoTeri Sipah Ins-o-Jinn, Tu Hai Ameer-e-Junood!