Darya Mein Moti, Ae Mouj-e-BebaakSahil Ki Soughat! Khar-o-Khs-o-Khaak
Mere Sharar Mein Bijli Ke JoharLekin Neestan Tera Hai Namnaak
Tera Zamana, Taseer TeriNadan, Nahin Ye Taseer-e-Aflaak
Aesa Junoon Bhi Dekha Hai Main NeJis Ne Siye Hain Taqdeer Ke Chaak
Kamil Wohi Hai Rindi Ke Fan MainMasti Hai Jis Ki Be-Minnat-e-Taak
Rakhta Hai Ab Tak Maikhana-e-SharqWoh Mai Ke Jis Se Roshan Huwa Idraak
Ahl-e-Nazar Hain Yourap Se NumeedIn Ummaton Ke Batin Nahin Paak