رمزِ زندگیRamz E Zindagi

کيا عشق ايک زندگي مستعار کا

Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 7 sher · Roman Urdu ke saath

Woh Ishq Jis Ki Shama Bujha De Ajal Ki PhoonkUss Mein Maza Nahin Tapish-o-Intizaar Ka
Meri Bisaat Kya Hai, Tab-o-Taab-e-Yak NafasShole Se Bemehal Hai Ulajhna Sharaar Ka
Kar Pehle Mujh Ko Zindagi Javidan AttaPhir Zauq-o-Shauq Dekh Dil-e-Beqarar Ka
Kanta Woh De Ke Jis Ki Khatak La-zawal HoYa Rab! Woh Dard Jis Ki Kasak La-zawal Ho
Dilon Ko Markaz-e-Mehar-o-Wafa KarHareem-e-Kibriya Se Ashna Kar
Jise Naan-e-Jaween Bakhshi Hai Tu NeUsse Bazoo-e-Haider (R.A.) Bhi Atta Ka