Uss Ki Nafrat Bhi Umeeq, Uss Ki Muhabbat Bhi UmeeqQeher Bhi Uss Ka Hai Allah Ke Bandon Pe Shafeeq
Parwarish Pata Hai Taqleed Ki Tareeki MeinHai Magar Uss Ki Tabiat Ka Taqaza Takhleeq
Anjuman Mein Bhi Mayassar Rahi Khalwat Uss KoShama-e-Mehfil Ki Tarah Sub Se Judda, Sub Ka Rafeeq
Misl-e-Khursheed-e-Sehar Fikr Ki Tabani MeinBaat Mein Sada-o-Azadah, Ma’aani Mein Daqeeq
Uss Ka Andaz-e-Nazar Apne Zamane Se JuddaUss Ke Ahwal Se Mehram Nahin Peeran-e-Tareeq