رمزِ زندگیRamz E Zindagi

دگرگوں ہے جہاں ، تاروں کي گردش تيز ہے ساقي

Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 7 sher · Roman Urdu ke saath

Dirgargoon Hai, Jahan, Taaron Ki Garzish Taiz Hai SaqiDil Har Zarra Mein Ghogha’ay Rasta Khaiz Hai Saqi
Mataa-e-Deen-o-Danish Lut Gyi Allah Walon KiYe Kis Kafir Ada Ka Ghamzada’ay Khoonraiz Hai Saqi
Wohi Daireena Bemari, Wohi Na-Mehkami Dil KiIlaj Iss Ka Wohi Aab-e-Nishaat Anghaiz Hai Saqi
Haram Ke Dil Mein Souz-e-Arzoo Payda Nahin HotaKe Paidai Teri Ab Tak Hijab Amaiz Hai Saqi
Nahin Hai Na-Umeed Iqbal Apni Kisht-e-Weeran SeZara Nam Ho To Ye Mitti Bohat Zarkhaiz Hai Saqi
Faqeer-e-Rah Ko Bakhshe Ga’ay Asrar-e-SultaniBaha Meri Nawa Ki Doulat-e-Pervaiz Hai Saqi