رمزِ زندگیRamz E Zindagi

ضمير لالہ مے لعل سے ہوا لبريز

Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 7 sher · Roman Urdu ke saath

Zameer-e-Lala Mai’ay La’al Se Huwa LabraizIshara Pate Hi Sufi Ne Tor Di Parhaiz
Bichayi Hai Jo Kahin Ishq Ne Bisat ApniKiya Hai Iss Ne Faqeeron Ko Waris-e-Parvaiz
Purane Hain Ye Sitare, Falak Bhi FarsudahJahan Woh Chahiye Mujh Ko Ke Ho Abi Naukhaiz
Kise Khabar Hai Ke Hangama’ay Nishor Hai KyaTeri Nigah Ki Gardish Hai Meri Rasta Khaiz
Na Cheen Lazzat-e-Aah-e-Sahar-Gehi Mujh SeNa Kar Nigah Se Tughafil Ko Iltifat Amaiz
Dil-e-Ghameen Ke Muwafiq Bahin Hai Mousam-e-GulSada’ay Murgh-e-Chaman Hai Bohat Nishaat Angaiz
Hadees-e-Bekhabran Hai, Tu Ba-Zamana Ba-SaazZamana Ba Toon-Saazd, Tu Ba Zamana Sataiz