رمزِ زندگیRamz E Zindagi

غلاموں کي نماز

Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 6 sher · Roman Urdu ke saath

Kaha Mujahid-e-Turki Ne Mujh Se Baad-e-NamazTaweel Sajda Hain Kyun Iss Qadar Tumhare Imam
Woh Saada Mard-e-Mujahid, Woh Momin-e-AzadKhabar Na Thi Use Kya Cheez Hai Namaz-e-Ghulam
Hazar Kaam Hain Mardan-e-Hur Ko Dunya MeinInhi Ke Zauq-e-Amal Se Hain Ummaton Ke Nazam
Badan Ghulam Ka Souz-e-Amal Se Hai MehroomKe Hai Muroor Ghulamon Ke Roz-o-Shab Pe Haram
Taweel Sajda Agar Hain To Kya Ta’ajjub HaiWaraye Sajda Ghareebon Ko Aur Kya Hai Kaam
Woh Sajda Jis Mein Hai Millat Ki Zindagi Ka Payam!—God teach His ministers in India