مجھ کو تو يہ دنيا نظر آتي ہے دگرگوں
Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 4 sher · Roman Urdu ke saath
Mujh Ko To Ye Dunya Nazar Ati Hai DigargoonMaloom Nahin Dekhti Hai Teri Nazar Kya
Har Seene Mein Ek Subah-e-Qayamat Hai NamoodarAfkar Jawanon Ke Huwe Zair-o-Zabar Kya
Kar Sakti Hai Be Maarka Jeene Ki TalaafiAe Peer-e-Haram Teri Manajaat-e-Sehar Kya
Mumkin Nahin Takhleeq-e-Khudi Khanqahon SeIss Shaola-e-Nam Khorda Se Toote Ga Sharar Kya !