تو اے اسير مکاں! لامکاں سے دور نہيں
Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 5 sher · Roman Urdu ke saath
Tu Ae Aseer-E-Makan! La-Makan Se Door NahinWoh Jalwagah Tere Khakdan Se Door Nahin
Woh Marghzar Ke Beem-E-Khazan Nahin Jis MeinGhameen Na Ho Ke Tere Ashiyan Se Door Nahin
Ye Hai Khulasa-E-Ilm Qalandari Ke HiyatKhadang-E-Jasta Hai Lekin Kaman Se Door Nahin
Faza Teri Mah-O-Parveen Se Hai Zara AgayQadam Uthao, Ye Maqam Asman Se Door Nahin
Kahe Na Rahnuma Se Ke Chor De Mujh KoYe Baat Rahroo Nukta Dan Se Door Nahin