رمزِ زندگیRamz E Zindagi

!يہ پيران کليسا و حرم ، اے وائے مجبوري

Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 7 sher · Roman Urdu ke saath

Ye Peeran-e-Kalisa-o-Haram, Ae Waye Majboori!Sila In Ki Kid-o-Kawish Ka Hai Seenon Ki Benoori
Kabhi Hairat, Kabhi Masti, Kabhi Aah-e-SahargahiBadalta Hai Hazaron Rang Mera Dard-e-Mehjoori
Had-e-Adraak Se Bahir Hain Batain Ishq-o-Masti KiSamajh Mein Iss Qadar Aya Ke Dil Ki Mout Hai Doori
Koi Taqdeer Ki Mantaq Samajh Sakta Nahin WarnaNa The Turkaan-e-Usmani Se Kam Turkaan-e-Taimoori
Faqeeran-e-Haram Ke Hath Iqbal Aa Gya KyunkarMaiyasar Mir-e-Sultan Ko Nahin Shaheen-e-Kafoori