حادثہ وہ جو ابھي پردہ افلاک ميں ہے
Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 5 sher · Roman Urdu ke saath
Hadsa Woh Jo Abhi Parda-e-Aflak Mein HaiAks Uss Ka Mere Aaeena-e-Idraak Mein Hai
Na Sitare Mein Hai, Ne Gardish-e-Aflak Mein HaiTeri Taqdeer Mere Nala-e-Bebaak Mein Hai
Ya Meri Aah Mein Koi Sharar-e-Zinda NahinYa Zara Nam Abhi Tere Khs-o-Khashak Mein Hai
Kya Ajab Meri Nawa Haye Sehargahi SeZinda Ho Jaye Woh Atish Ke Teri Khak Mein Hai
Tor Dale Gi Yehi Khak Tilism-e-Shab-o-RozGharche Uljhi Huwi Taqdeer Ke Paichaak Mein Hai