رہا نہ حلقہ صوفي ميں سوز مشتاقي
Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 7 sher · Roman Urdu ke saath
Raha Na Halqa-e-Sufi Mein Souz-e-MushtaqiFasana Haye Karamaat Reh Gye Baqi
Kharab Ko Shak-e-Sultan-O-Khanqah-e-FaqeerFaghan Ke Takht-O-Musalla Kamal-e-Zarraqi
Kare Gi Dawar-e-Mehshar Ko Sharamsaar Ek RozKitab-e-Sufi-O-Mullah Ki Sada Auraqi
Na Cheeni-O-Arabi Woh, Na Rumi-O-ShamiSama Saka Na Do Alam Mein Mard-e-Afaqi
Mai-e-Shabana Ki Masti To Ho Chuki, LekinKhatak Raha Hai Dilon Mein Karishma-e-Saqi
Chaman Mein Talakh Nawayi Meri Gawara KarKe Zehar Bhi Kabhi Karta Hai Kar-e-Taryaqi
Aziz Tat Hai Mataa-e-Ameer-O-Sultan SeWoh Shair Jis Mein Ho Bijli Ka Souz-O-Barraqi