رمزِ زندگیRamz E Zindagi

يوں ہاتھ نہيں آتا وہ گوہر يک دانہ

Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 6 sher · Roman Urdu ke saath

Yun Hath Nahin Ata Woh Gohar-e-Yak DanaYak Rangi-o-Azadi Ae Himmat-e-Mardana!
Ya Sanjar-o-Tughral Ka Aaeen-e-JahangeeriYa Mard-e-Qalandar Ke Andaz-e-Mulookana!
Ya Hairat-e-Farabi Ya Taab-o-Tab-e-RumiYa Fikr-e-Hakeemana Ya Jazb-e-Kaleemana!
Ya Aqal Ki Roobahi Ya Ishq-e-YadullahiYa Heela-e-Afrangi Ya Hamla-e-Tarkana!
Ya Shara-e-Musalmani Ya Dair Ki DarbaniYa Naara-e-Mastana , Kaaba Ho Ke Butkhana!
Meeri Mein Faqeeri Mein, Shahi Mein Ghulami MeinKuch Kaam Nahin Banta Be-Jurrat-e-Rindana