نے مہرہ باقي ، نے مہرہ بازي
Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 7 sher · Roman Urdu ke saath
Ne Muhra Baqi, Ne Muhra BaziJeeta Hai Rumi, Haara Hai Razi
Roshan Hai Jaam-e-Jamshaid Ab TakShahi Nahin Hai Be Sheesha Bazi
Dil Hai Musalman Mera Na TeraTu Bhi Namazi, Mein Bhi Namazi!
Mein Janta Hun Anjaam Uss KaJis Maarke Mein Mullah Hon Ghazi
Turki Bhi Sheerin, Tazi Bhi SheerinHarf-e-Mohabbat Turki Na Tazi
Aazar Ka Paisha Khara TarashiKaar-e-Khaleelan Khara Gudazi
Tu Zindagi Hai, Paendagi HaiBaqi Hai Jo Kuch, Sub Khaak Bazi