مري نوا سے ہوئے زندہ عارف و عامي
Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 6 sher · Roman Urdu ke saath
Meri Nawa Se Huwe Zinda Arif-o-AamiDiya Hai Main Ne Inhain Zauq-e-Atish Ashami
Haram Ke Pas Koi Ajami Hai Zamzama SanjKe Tar Tar Huwe Jama Haye Ahrami
Haqiqat-e-Abdi Hai Maqam-e-ShabiriBadalte Rehte Hain Andaz-e-Kufi-o-Shami
Mujhe Ye Darr Hai Muqamir Hain Pukhta Kaar BohatNa Rang Laye Kahin Tere Hath Ki Khami
Ajab Nahin Ke Musalman Ko Phir Atta Kar DainShikoh-e-Sanjar-o-Faqr-e-Junaid (R.A.)-o-Bastami (R.A.)
Qaba-e-Ilm-o-Hunar Lutf-e-Khaas Hai, WarnaTeri Nigah Mein Thi Meri Na-Khush Andami