!کھو نہ جا اس سحروشام ميں اے صاحب ہوش
Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 5 sher · Roman Urdu ke saath
Kho Na Ja Iss Sehar-o-Sham Mein Ae Sahib-e-Hosh!Ek Jahan Aur Bhi Hai Jis Mein Na Farda Hai Na Dosh
Kis Ko Maaloom Hai Hungama-e-Farda Ka MaqamMasjid-o-Maktab-o-Maikhana Hain Muddat Se Khamosh
Main Ne Paya Hai Usse Ashk-e-Sehargahi MeinJis Dur-e-Naab Se Khali Hai Sadaf Ki Aagosh
Nayi Tehzeeb Takaluf Ke Sawa Kuch Bhi NahinChehra Roshan Ho To Kya Hajat-e-Gluguna Farosh!
Sahib-e-Saaz Ko Lazim Hai Ke Ghafil Na RaheGahe Gahe Galat Aahang Bhi Hota Hai Sarosh