جو طوفانوں میں پلتے جا رہے ہیں
Ghazal · Jigar Moradabadi · جگر مرادآبادی · 5 sher · Roman Urdu ke saath
jo tūfānoñ meñ palte jā rahe haiñvahī duniyā badalte jā rahe haiñ
nikhartā aa rahā hai rañg-e-gulshanḳhas o ḳhāshāk jalte jā rahe haiñ
vahīñ maiñ ḳhaak uḌtī dekhtā huuñjahāñ chashme ubalte jā rahe haiñ
charāġh-e-dair-o-kāba allāh allāhhavā kī zid pe jalte jā rahe haiñ
shabāb o husn meñ bahas aa paḌī haina.e pahlū nikalte jā rahe haiñ