رمزِ زندگیRamz E Zindagi

کام آخر جذبۂ بے اختیار آ ہی گیا

Ghazal · Jigar Moradabadi · جگر مرادآبادی · 9 sher · Roman Urdu ke saath

kaam āḳhir jazba-e-be-iḳhtiyār aa hī gayādil kuchh is sūrat se taḌpā un ko pyaar aa hī gayā
jab nigāheñ uTh ga.iiñ allāh-rī merāj-shauqdekhtā kyā huuñ vo jān-e-intizār aa hī gayā
haa.e ye husn-e-tasavvur kā fareb-e-rañg-o-būmaiñ ye samjhā jaise vo jān-e-bahār aa hī gayā
haañ sazā de ai ḳhudā-e-ishq ai taufīq-e-ġhamphir zabān-e-be-adab par zikr yaar aa hī gayā
is tarah ḳhush huuñ kisī ke vāda-e-fardā pe maiñdar-haqīqat jaise mujh ko e'tibār aa hī gayā
haa.e kāfir-dil kī ye kāfir junūñ-añgeziyāñtum ko pyaar aa.e na aa.e mujh ko pyaar aa hī gayā
dard ne karvaT hī badlī thī ki dil kī aaḌ sedaf.atan parda uThā aur parda-dār aa hī gayā
dil ne ik naala kiyā aaj is tarah dīvāna-vārbaal bikhrā.e koī msatānā-vār aa hī gayā
jaan hī de dī 'jigar' ne aaj pā-e-yār parumr bhar kī be-qarārī ko qarār aa hī gayā