آنکھوں کا تھا قصور نہ دل کا قصور تھا
Ghazal · Jigar Moradabadi · جگر مرادآبادی · 12 sher · Roman Urdu ke saath
āñkhoñ kā thā qusūr na dil kā qusūr thāaayā jo mere sāmne merā ġhurūr thā
tārīk misl-e-āh jo āñkhoñ kā nuur thākyā sub.h hī se shām-e-balā kā zuhūr thā
vo the na mujh se duur na maiñ un se duur thāaatā na thā nazar to nazar kā qusūr thā
har vaqt ik ḳhumār thā har dam surūr thābotal baġhal meñ thī ki dil-e-nā-subūr thā
koī to dardmand-e-dil-e-nā-subūr thāmaanā ki tum na the koī tum sā zarūr thā
lagte hī Thes TuuT gayā sāz-e-ārzūmilte hī aañkh shīsha-e-dil chuur chuur thā
aisā kahāñ bahār meñ rañgīniyoñ kā joshshāmil kisī kā ḳhūn-e-tamannā zarūr thā
saaqī kī chashm-e-mast kā kyā kījiye bayānitnā surūr thā ki mujhe bhī surūr thā
palTī jo rāste hī se ai āh-e-nā-murādye to batā ki bāb-e-asar kitnī duur thā
jis dil ko tum ne lutf se apnā banā liyāus dil meñ ik chhupā huā nashtar zarūr thā
us chashm-e-mai-farosh se koī na bach sakāsab ko ba-qadr-e-hausla-e-dil surūr thā
dekhā thā kal 'jigar' ko sar-e-rāh-e-mai-kadais darja pī gayā thā ki nashshe meñ chuur thā