رمزِ زندگیRamz E Zindagi

وہ ادائے دلبری ہو کہ نوائے عاشقانہ

Ghazal · Jigar Moradabadi · جگر مرادآبادی · 10 sher · Roman Urdu ke saath

vo adā-e-dilbarī ho ki navā-e-āshiqānajo diloñ ko fat.h kar le vahī fāteh-e-zamāna
ye tirā jamāl-e-kāmil ye shabāb kā zamānadil-e-dushmanāñ salāmat dil-e-dostāñ nishāna
kabhī husn kī tabī.at na badal sakā zamānavahī nāz-e-be-niyāzī vahī shān-e-ḳhusravāna
maiñ huuñ us maqām par ab ki firāq o vasl kaisemirā ishq bhī kahānī tirā husn bhī fasāna
mirī zindagī to guzrī tire hijr ke sahāremirī maut ko bhī pyāre koī chāhiye bahāna
tire ishq kī karāmat ye agar nahīñ to kyā haikabhī be-adab na guzrā mire paas se zamāna
tirī duurī o huzūrī kā ye hai ajiib aalamabhī zindagī haqīqat abhī zindagī fasāna
mire ham-safīr bulbul mirā terā saath hī kyāmaiñ zamīr-e-dasht-o-dariyā tū asīr-e-āshiyāna
maiñ vo saaf hī na kah duuñ jo hai farq mujh meñ tujh meñtirā dard dard-e-tanhā mirā ġham ġham-e-zamāna
tire dil ke TūTne par hai kisī ko naaz kyā kyātujhe ai 'jigar' mubārak ye shikast-e-fātehāna