آیا نہ راس نالۂ دل کا اثر مجھے
Ghazal · Jigar Moradabadi · جگر مرادآبادی · 13 sher · Roman Urdu ke saath
aayā na raas nāla-e-dil kā asar mujheab tum mile to kuchh nahīñ apnī ḳhabar mujhe
dil le ke mujh se dete ho dāġh-e-jigar mujheye baat bhūlne kī nahīñ umr bhar mujhe
har-sū dikhā.ī dete haiñ vo jalva-gar mujhekyā kyā fareb detī hai merī nazar mujhe
miltī nahīñ hai lazzat-e-dard-e-jigar mujhebhūlī huī na ho nigah-e-fitnagar mujhe
Daalā hai be-ḳhudī ne ajab raah par mujheāñkheñ haiñ aur kuchh nahīñ aatā nazar mujhe
karnā hai aaj hazrat-e-nāseh se sāmnāmil jaa.e do ghaḌī ko tumhārī nazar mujhe
mastāna kar rahā huuñ rah-e-āshiqī ko taile jaa.e jazb-e-shauq mirā ab jidhar mujhe
Dartā huuñ jalva-e-ruḳh-e-jānāñ ko dekh karapnā banā na le kahīñ merī nazar mujhe
yaksāñ hai husn-o-ishq kī sar-mastiyoñ kā rañgun kī ḳhabar unheñ hai na merī ḳhabar mujhe
marnā hai un ke paañv pe rakh kar sar-e-niyāzkarnā hai aaj qissa-e-ġham muḳhtasar mujhe
siine se dil aziiz hai dil se ho tum aziizsab se magar aziiz hai terī nazar mujhe
maiñ duur huuñ to rū-e-suḳhan mujh se kis liyetum paas ho to kyuuñ nahīñ aate nazar mujhe
kyā jāniye qafas meñ rahe kyā mo.āmlaab tak to haiñ aziiz mire bāl-o-par mujhe