رمزِ زندگیRamz E Zindagi

غم رہا جب تک کہ دم میں دم رہا

Ghazal · Mir Taqi Mir · میر تقی میر · 9 sher · Roman Urdu ke saath

ġham rahā jab tak ki dam meñ dam rahādil ke jaane kā nihāyat ġham rahā
husn thā terā bahut ālam-farebḳhat ke aane par bhī ik aalam rahā
dil na pahuñchā gosha-e-dāmāñ talakqatra-e-ḳhūñ thā mizha par jam rahā
sunte haiñ lailā ke ḳheme ko siyāhus meñ majnūñ kā magar mātam rahā
jāma-e-ehrām-e-zāhid par na jāthā haram meñ lek nā-mahram rahā
zulfeñ kholīñ to tū Tuk aayā nazarumr bhar yaañ kām-e-dil barham rahā
us ke lab se talḳh ham sunte raheapne haq meñ āb-e-haivāñ sam rahā
mere rone kī haqīqat jis meñ thīek muddat tak vo kāġhaz nam rahā
sub.h-e-pīrī shaam hone aa.ī 'mīr'tū na chetā yaañ bahut din kam rahā