جب رونے بیٹھتا ہوں تب کیا کسر رہے ہے
Ghazal · Mir Taqi Mir · میر تقی میر · 9 sher · Roman Urdu ke saath
jab rone baiThtā huuñ tab kyā kasar rahe hairūmāl do do din tak juuñ abr tar rahe hai
āh-e-sahar kī merī barchhī ke vasvase seḳhurshīd ke muñh uupar aksar sipar rahe hai
aagah to rahiye us kī tarz-e-rah-o-ravish seaane meñ us ke lekin kis ko ḳhabar rahe hai
un rozoñ itnī ġhaflat achchhī nahīñ idhar seab iztirāb ham ko do do pahr rahe hai
āb-e-hayāt kī sī saarī ravish hai us kīpar jab vo uTh chale hai ek aadh mar rahe hai
talvār ab lagā hai be-Dol paas rakhneḳhuun aaj kal kisū kā vo shoḳh kar rahe hai
dar se kabhū jo aate dekhā hai maiñ ne us kotab se udhar hī aksar merī nazar rahe hai
āḳhir kahāñ talak ham ik roz ho chukeñgebarsoñ se va.ada-e-shab har sub.h par rahe hai
'mīr' ab bahār aa.ī sahrā meñ chal junūñ karkoī bhī fasl-e-gul meñ nādān ghar rahe hai