رمزِ زندگیRamz E Zindagi

جن جن کو تھا یہ عشق کا آزار مر گئے

Ghazal · Mir Taqi Mir · میر تقی میر · 9 sher · Roman Urdu ke saath

jin jin ko thā ye ishq kā āzār mar ga.eaksar hamāre saath ke bīmār mar ga.e
hotā nahīñ hai us lab-e-nau-ḳhat pe koī sabziisā o ḳhizr kyā sabhī yak-bār mar ga.e
yuuñ kānoñ-kān gul ne na jaanā chaman meñ aahsar ko paTak ke ham pas-e-dīvār mar ga.e
sad kārvāñ vafā hai koī pūchhtā nahīñgoyā matā-e-dil ke ḳharīdār mar ga.e
majnūñ na dasht meñ hai na farhād koh meñthā jin se lutf-e-zindagī ve yaar mar ga.e
gar zindagī yahī hai jo karte haiñ ham asiirto ve hī jī ga.e jo giraftār mar ga.e
afsos ve shahīd ki jo qatl-gāh meñlagte hī us ke haath kī talvār mar ga.e
tujh se do-chār hone kī hasrat ke mubtilājab jī hue vabāl to nā-chār mar ga.e
ghabrā na 'mīr' ishq meñ us sahal-e-zīst parjab bas chalā na kuchh to mire yaar mar ga.e