جس سر کو غرور آج ہے یاں تاجوری کا
Ghazal · Mir Taqi Mir · میر تقی میر · 11 sher · Roman Urdu ke saath
jis sar ko ġhurūr aaj hai yaañ tāj-varī kākal us pe yahīñ shor hai phir nauhagarī kā
sharminda tire ruḳh se hai ruḳhsār parī kāchaltā nahīñ kuchh aage tire kabk-e-darī kā
āfāq kī manzil se gayā kaun salāmatasbāb luTā raah meñ yaañ har safarī kā
zindāñ meñ bhī shorish na ga.ī apne junūñ kīab sañg mudāvā hai is āshufta-sarī kā
har zaḳhm-e-jigar dāvar-e-mahshar se hamārāinsāf-talab hai tirī bedād-garī kā
apnī to jahāñ aañkh laḌī phir vahīñ dekhoā.īne ko lapkā hai pareshāñ-nazarī kā
sad mausam-e-gul ham ko tah-e-bāl hī guzremaqdūr na dekhā kabhū be-bāl-o-parī kā
is rañg se jhamke hai palak par ki kahe tūTukḌā hai mirā ashk aqīq-e-jigarī kā
kal sair kiyā ham ne samundar ko bhī jā karthā dast-e-nigar panja-e-mizhgāñ kī tarī kā
le saañs bhī āhista ki nāzuk hai bahut kaamāfāq kī is kārgah-e-shīshagarī kā
Tuk 'mīr'-e-jigar-soḳhta kī jald ḳhabar lekyā yaar bharosā hai charāġh-e-saharī kā