رمزِ زندگیRamz E Zindagi

کیا کہوں تم سے میں کہ کیا ہے عشق

Ghazal · Mir Taqi Mir · میر تقی میر · 9 sher · Roman Urdu ke saath

kyā kahūñ tum se maiñ ki kyā hai ishqjaan kā rog hai balā hai ishq
ishq hī ishq hai jahāñ dekhosaare aalam meñ bhar rahā hai ishq
ishq hai tarz o taur ishq ke ta.iiñkahīñ banda kahīñ ḳhudā hai ishq
ishq ma.ashūq ishq āshiq haiya.anī apnā hī mubtalā hai ishq
gar parastish ḳhudā kī sābit kīkisū sūrat meñ ho bhalā hai ishq
dilkash aisā kahāñ hai dushman-e-jāñmudda.ī hai pa mudda.ā hai ishq
hai hamāre bhī taur kā āshiqjis kisī ko kahīñ huā hai ishq
koī ḳhvāhāñ nahīñ mohabbat kātū kahe jins-e-nā-ravā hai ishq
'mīr'-jī zard hote jaate hokyā kahīñ tum ne bhī kiyā hai ishq