شعر کے پردے میں میں نے غم سنایا ہے بہت
Ghazal · Mir Taqi Mir · میر تقی میر · 5 sher · Roman Urdu ke saath
sher ke parde meñ maiñ ne ġham sunāyā hai bahutmarsiye ne dil ke mere bhī rulāyā hai bahut
be-sabab aatā nahīñ ab dam-ba-dam āshiq ko ġhashdard khīñchā hai nihāyat ranj uThāyā hai bahut
vaadī o kohsār meñ rotā huuñ DāḌheñ maar maardilbarān-e-shahr ne mujh ko satāyā hai bahut
vā nahīñ hotā kisū se dil girafta ishq kāzāhiran ġhamgīñ use rahnā ḳhush aayā hai bahut
'mīr' gum-gashta kā milnā ittifāqī amr haijab kabhū paayā hai ḳhvāhish-mand paayā hai bahut