بے سبب آتا نہیں اب دم بہ دم عاشق کو غشدرد کھینچا ہے نہایت رنج اٹھایا ہے بہتbe-sabab aatā nahīñ ab dam-ba-dam āshiq ko ġhashdard khīñchā hai nihāyat ranj uThāyā hai bahutIshqGhamمیر تقی میرMir Taqi Mir
شعر کے پردے میں میں نے غم سنایا ہے بہتمرثیے نے دل کے میرے بھی رلایا ہے بہتsher ke parde meñ maiñ ne ġham sunāyā hai bahutmarsiye ne dil ke mere bhī rulāyā hai bahutمیر تقی میرMir Taqi Mir
وادی و کہسار میں روتا ہوں ڈاڑھیں مار ماردلبران شہر نے مجھ کو ستایا ہے بہتvaadī o kohsār meñ rotā huuñ DāḌheñ maar maardilbarān-e-shahr ne mujh ko satāyā hai bahutمیر تقی میرMir Taqi Mir
وا نہیں ہوتا کسو سے دل گرفتہ عشق کاظاہرا غمگیں اسے رہنا خوش آیا ہے بہتvā nahīñ hotā kisū se dil girafta ishq kāzāhiran ġhamgīñ use rahnā ḳhush aayā hai bahutمیر تقی میرMir Taqi Mir
میر گم گشتہ کا ملنا اتفاقی امر ہےجب کبھو پایا ہے خواہش مند پایا ہے بہت'mīr' gum-gashta kā milnā ittifāqī amr haijab kabhū paayā hai ḳhvāhish-mand paayā hai bahutمیر تقی میرMir Taqi Mir
کھینچ لے اول ہی سے دل کی عنان اختیارتو نے گر اے عاشق دلگیر پھر کھینچی تو کیاkhīñch le avval hī se dil kī inān-e-iḳhtiyārtū ne gar ai āshiq-e-dil-gīr phir khīñchī to kyāبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
پس مرگ ان پر کھلا حال الفتگئی لے کے روح اپنی پیغام دل کاpas-e-marg un par khulā hāl-e-ulfatga.ī le ke ruuh apnī paiġhām dil kāاکبر الہ آبادیAkbar Allahabadi
کیا تجھ عشق نے عالم کوں مجنوںمجھے تجھ رشک لیلی کی قسم ہےkiyā tujh ishq ne aalam kuuñ majnūñmujhe tujh rashk-e-lailā kī qasam haiولی دکنیWali Dakani
بہت چین سے دن گزرتے ہیں حالیکوئی فتنہ برپا ہوا چاہتا ہےbahut chain se din guzarte haiñ 'hālī'koī fitna barpā huā chāhtā haiالطاف حسین حالیAltaf Hussain Hali