رمزِ زندگیRamz E Zindagi

کیا کہیں کس سے پیار کر بیٹھے

Ghazal · Nazm Tabatabai · نظم طباطبائی · 6 sher · Roman Urdu ke saath

kyā kaheñ kis se pyaar kar baiTheapne dil ko figār kar baiThe
sabr kī ik qabā jo baaqī thīus ko bhī taar taar kar baiThe
aaj phir un kī aamad aamad haiham ḳhizāñ ko bahār kar baiThe
vaa.e us but kā va.ada-e-fardāumr bhar intizār kar baiThe
ḳhud jo ġham haiñ to aa.ina hairāñkis ġhazab kā siñghār kar baiThe
ham tahī-dast tujh ko kyā detejaan tujh par nisār kar baiThe