رمزِ زندگیRamz E Zindagi

کس لیے پھرتے ہیں یہ شمس و قمر دونوں ساتھ

Nazm · Nazm Tabatabai · نظم طباطبائی · 13 sher · Roman Urdu ke saath

kis liye phirte haiñ ye shams o qamar donoñ saathkis ko ye DhūñDte haiñ barhana-sar donoñ saath
kaisī yā-rab ye havā sub.h-e-shab-e-vasl chalībujh gayā dil mirā aur sham-e-sahar donoñ saath
ba.ad mere na rahā ishq kī manzil kā nishāñmiT ga.e rāh-rau o rāhguzar donoñ saath
ai junūñ dekh isī sahrā meñ akelā huuñ maiñrahte jis dasht meñ haiñ ḳhauf-o-ḳhatar donoñ saath
mujh ko hairat hai shab-e-aish kī kotāhī paryā ḳhudā aa.e the kyā shām-o-sahar donoñ saath
us ne pherī nigah-e-nāz ye ma.alūm huākhiñch gayā siine se tiir aur jigar donoñ saath
ġham ko dī dil ne jagah dil ko jagah pahlū neek goshe meñ kareñge ye basar donoñ saath
is ko rokūñ maiñ ilāhī ki sambhālūñ us koki taḌapne lage dil aur jigar donoñ saath
naaz baḌhtā gayā baḌhte ga.e juuñ juuñ gesūbalki lene lage ab zulf o kamar donoñ saath
tujh se matlab hai nahīñ duniyā o uqbā se ġharaztū nahīñ jab to ujaḌ jaa.eñ ye ghar donoñ saath
baat sunñā na kisī chāhne vaale kī kabhīkaan meñ phūñk rahe haiñ ye guhar donoñ saath
āñdhiyāñ aah kī bhī ashk kā sailāb bhī haidete haiñ dil kī ḳharābī kī ḳhabar donoñ saath
kyā kahūñ zohra o ḳhurshīd kā aalam ai 'nazm'nikle ḳhalvat se jūñhī vaqt-e-sahar donoñ saath