تنہا نہیں ہوں گر دل دیوانہ ساتھ ہے
Nazm · Nazm Tabatabai · نظم طباطبائی · 10 sher · Roman Urdu ke saath
tanhā nahīñ huuñ gar dil-e-dīvāna saath haivo harzah-gard huuñ ki parī-ḳhāna saath hai
hañgāma ik parī kī savārī kā dekhnākyā dhuum hai ki saikḌoñ dīvāna saath hai
dil meñ haiñ laakh tarah ke hiile bhare huephir mashvara ko ā.īna o shāna saath hai
roz-e-siyah meñ saath koī de to jāniyejab tak faroġh-e-sham.a hai parvāna saath hai
detā nahīñ hai saath tahī-dast kā koījab tak ki mai hai shīshe meñ paimāna saath hai
sīkhā huuñ mai-kade meñ tarīq-e-farotanījab tak ki sar hai sajda-e-shukrāna saath hai
jo be-basar haiñ DhūñDte phirte haiñ duur duuraur har qadam pe jalva-e-jānāna saath hai
kyā ḳhauf ho hameñ zan-e-duniyā ke makr kāapnī madad ko himmat-e-mardāna saath hai
ġham kī kitāb se dil-e-sad-pāra kam nahīñjis bazm meñ ga.e yahī afsāna saath hai
mānind-e-gard-bād huuñ ḳhāna-ba-dosh maiñsahrā meñ huuñ magar mirā kāshāna saath hai