رمزِ زندگیRamz E Zindagi

یہ آہ بے اثر کیا ہو یہ نخل بے ثمر کیا ہو

Nazm · Nazm Tabatabai · نظم طباطبائی · 7 sher · Roman Urdu ke saath

ye āh-e-be-asar kyā ho ye naḳhl-e-be-samar kyā hona ho jab dard hī yārab to dil kyā ho jigar kyā ho
baġhal-gīr aarzū se haiñ murādeñ aarzū mujh seyahāñ is vaqt to ik iid hai tum jalva-gar kyā ho
muqaddar meñ ye likkhā hai kaTegī umr mar-mar karabhī se mar ga.e ham dekhiye ab umr bhar kyā ho
muravvat se ho begāna vafā se duur ho kosoñye sach hai nāznīñ ho ḳhūb-sūrat ho magar kyā ho
lagā kar zaḳhm meñ Tāñke qazā terī na aa jaa.ejo vo saffāk sun paa.e batā ai chāra-gar kyā ho
qayāmat ke bakheḌe paḌ ga.e aate hī duniyā meñye maanā ham ne mar jaanā to mumkin hai magar kyā ho
kahā maiñ ne ki 'nazm'-e-mubtalā martā hai hasrat meñkahā us ne agar mar jaa.e to merā zarar kyā ho