یوں تو نہ تیرے جسم میں ہیں زینہار ہاتھ
Nazm · Nazm Tabatabai · نظم طباطبائی · 11 sher · Roman Urdu ke saath
yuuñ to na tere jism meñ haiñ zīnhār haathdene ke ai karīm magar haiñ hazār haath
añgḌā.iyoñ meñ phailte haiñ baar baar haathshīsha kī samt baḌhte haiñ be-iḳhtiyār haath
Duube haiñ tark-e-sa.i se afsos to ye haisāhil thā haath bhar pe lagāte jo chaar haath
aatī hai jab nasīm to kahtī hai mauj-e-bahryuuñ aabrū sameT agar hoñ hazār haath
darpai haiñ mere qatl ke ahbāb aur maiñḳhush huuñ ki mere ḳhuun meñ rañgte haiñ yaar haath
dāman-kashāñ chalī hai badan se nikal ke ruuhkhiñchte haiñ phailte haiñ jo yuuñ baar baar haath
miTtā nahīñ navishta-e-qismat kisī tarahpatthar se sar ko phoḌ ki zaanū pe maar haath
saaqī sambhālnā ki hai labrez jām-e-mailaġhzish hai mere paañv meñ aur ra.asha-dār haath
mutrib se pūchh mas.ala-e-jabr-o-iḳhtiyārkyā taal sam pe uThte haiñ be-iḳhtiyār haath
maiñ aur huuñ alā.eq-e-duniyā ke daam meñmerā na ek haath na us ke hazār haath
ai 'nazm' vasl meñ bhī rahā tū na chain sedil ko huā qarār to hai be-qarār haath