جو بے ثبات ہو اس سر خوشی کو کیا کیجے
Ghazal · Noon Meem Rashid · ن م راشد · 8 sher · Roman Urdu ke saath
jo be-sabāt ho us sarḳhushī ko kyā kiijeye zindagī hai to phir zindagī ko kyā kiije
rukā jo kaam to dīvāngī hī kaam aa.īna kaam aa.e to farzāngī ko kyā kiije
ye kyuuñ kaheñ ki hameñ koī rahnumā na milāmagar sarisht kī āvārgī ko kyā kiije
kisī ko dekh ke ik mauj lab pe aa to ga.īuThe na dil se to aisī hañsī ko kyā kiije
hameñ to aap ne soz-e-alam hī baḳhshā thājo nuur ban ga.ī us tīrgī ko kyā kiije
hamāre hisse kā ik jur.a bhī nahīñ baaqīnigāh-e-dost kī mai-ḳhāngī ko kyā kiije
jahāñ ġharīb ko nān-e-javīñ nahīñ miltīvahāñ hakīm ke dars-e-ḳhudī ko kyā kiije
visāl-e-dost se bhī kam na ho sakī 'rāshid'azal se paa.ī huī tishnagī ko kyā kiije