رمزِ زندگیRamz E Zindagi

بھڑکے ہے دل کی آتش تجھ نیہ کی ہوا سوں

Ghazal · Wali Dakani · ولی دکنی · 5 sher · Roman Urdu ke saath

bhaḌke hai dil kī ātish tujh neh kī havā suuñsho.ala namat jalā dil tujh husn-e-sho.ala-zā suuñ
gul ke charāġh gul ho yak baar jhaḌ paḌeñ sabmujh aah kī hikāyat boleñ agar sabā suuñ
niklī hai jast kar kar har sañg-dil suuñ ātishchaqmāq jab palak kī jhāḌā hai tuuñ adā suuñ
sajda badal rakhe sar sar-tā-qadam araq hotujh bā-hayā ke pag par aa kar hinā hayā suuñ
yaañ dard hai param kā behūda sar kahe matye baat sun 'valī' kī jā kar kaho davā suuñ