دیکھنا ہر صبح تجھ رخسار کا
Ghazal · Wali Dakani · ولی دکنی · 10 sher · Roman Urdu ke saath
dekhnā har sub.h tujh ruḳhsār kāhai mutāla matla-e-anvār kā
bulbul o parvāna karnā dil ke ta.iiñkaam hai tujh chehra-e-gul-nār kā
sub.h terā dars paayā thā sanamshauq-e-dil mohtāj hai takrār kā
maah ke siine upar ai sham.a-rūdaaġh hai tujh husn kī jhalkār kā
dil kuuñ detā hai hamāre pech-o-tābpech tere turra-e-tarrār kā
jo sunyā tere dahan suuñ yak bachanbhed paayā nusḳha-e-asrār kā
chāhtā hai is jahāñ meñ gar bahishtjā tamāshā dekh us ruḳhsār kā
aarsī ke haath suuñ Dartā hai ḳhatchor kuuñ hai ḳhauf chaukīdār kā
sar-kashī ātish-mizājī hai sababnāsehoñ ko garmi-e-bāzār kā
ai 'valī' kyuuñ sun sake nāseh kī baatjo divānā hai parī-ruḳhsār kā