کافر تجھے اللہ نے صورت تو پری دی
Ghazal · Bahadur Shah Zafar · بہادر شاہ ظفر · 11 sher · Roman Urdu ke saath
kāfir tujhe allāh ne sūrat to parī dīpar haif tire dil meñ mohabbat na zarī dī
dī tū ne mujhe saltanat-e-bahr-o-bar ai ishqhoñToñ ko jo ḳhushkī mirī āñkhoñ ko tarī dī
ḳhāl-e-lab-e-shīrīñ kā diyā bosa kab us neik chaaT lagāne ko mire nīshkarī dī
kāfir tire saudā-e-sar-e-zulf ne mujh kokyā kyā na pareshānī o āshufta-sarī dī
mehnat se hai azmat ki zamāne meñ nagīñ kobe-kāvish-e-sīna na kabhī nāmvarī dī
sayyād ne dī ruḳhsat-e-parvāz par afsostū ne na ijāzat mujhe be-bāl-o-parī dī
kahtā tirā kuchh soḳhta-jāñ lek ajal nefursat na use misl-e-charāġh-e-saharī dī
qassam-e-azal ne na rakhā ham ko bhī mahrūmgarche na diyā koī hunar be-hunarī dī
us chashm meñ hai surme kā dumbāla pur-āshobkyuuñ haath meñ badmast ke bandūq bharī dī
dil de ke kiyā ham ne tirī zulf kā saudāik aap balā apne liye mol ḳharīdī
saaqī ne diyā kyā mujhe ik sāġhar-e-sarshārgoyā ki do aalam se 'zafar' be-ḳhabarī dī